Kharjio Ki Nishani Ahadees ki Nishani

               خارجیوں کی نشانی احادیث کی زبانی
نبی کریم صلہ اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایاآخری زمانے میں ایک قوم نکلے گی وہ لوگ قرآن بہت عمدہ پڑھے گےمگر حلق سے نیچے نہیں اترے گاوہ اسلام سے ایسے خارج ہوجائیں گے جیسے تیر شکار سے اور پھر واپس نہیں لوٹتاوہ نکلتے رہے گے یہاں تک کہ انکی آخری جماعت دججال کے ساتھ نکلے گی  صحابہ کرام علیہم الرضواب نے پوچھا یارسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم انکی نشانی کیا ہوگی؟فرمایا وہ سر منڈے ہوگے
       *Taqviatul Eimaan ke Side effects*
                Silsila no.15
1856 se Qable Taqreeban 1825 Me Ek Kitaab Manzare Aam Par Aaye Jiska Naam *TAQVIATUL EIMAN* Tha is kitaab ko Ismail Qateel(Balakot me ise Musalmano ne jahannam raseed kiya Tha) Munafik ne Angrezo ke Ishare par Musalmano me Inteshar Barpa Karne ke Liye Tarteeb Diya Tha 
Is kitaab Me Un Aqaid ko Gadha Gaya Tha Jis ki Bina par Rasoole Aazam Sallallahu alaihiwasallam ki Tauheen aur apki Zaate Aqdas par Musalmano ko Soochne par Majboor kardiya Tha Aashiqane Rasool Sallallahu Alaihiwasallam is Kasmakash me Doob Gaye ke Nabi Aur Gaire Nabi me kiya Farq hai is kitaab Ne to Aam Bashar Yahan Tak ke Auliya, Anbiya, Jin ,Bhoot ,Pareet ko Ek Qataar Me Khada kardiya hai
Musalmano ki is Bechaini ke Beech Ulmaye Ahlesunnat ne Qalam Uthaya Aur is Batil aur Gumarah Aqaid ki kitaab ko Aur Iske Tahreer karne Wale Molvi Ismail Qateel ka khula Radd kiya Aur Ispar Fatwaye kufr bhi Sadir Farmaya 
Is kitaab ne Musalmano me jin Batil Firqon ko Janam Diya Unme Wahabiyat ,Deobandiyat Qaadyaniyat,  Neturiyat, Gairmuqallidiyat  Aur Khud Ko Ahlehadees kahne wali jamaat Sare Fehrist Hai Halanke Sabhi ek hi hai lekin musalamno ko gumrah karne ke liye ek ne khud deobandi kahkar buzurgaane deen aur mohaddeseen ko apna kahna shru kardiya aur aam  Musalmano ki kam Ilmi ka Fayeda Uthaya Lekin jab Ahle ilm ne IN F irqaye batila Deobandiyat par Tahqeeq ki to pata chala ke inka Aqeeda kisi bhi Tarah Buzurgaane Deen se Nahi Milta ye log sirf Musalamno ko Gumrah karne keliye inhe apna batate hai
Baher kaif ab hum us Ebarat ko Mulaheza karege Jisme Ismail Qateel ne Likha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihiwasallam Maaz Allah Markar Mitti me Milgaye hai 
"Yaani Main Bhi Ek Din mar kar Mitti me Milne Walahu"
(Taqviatul eiman page 88)
Is Ebarat ne jo Aqeeda Zahir kiya wo kabhi bhi.Musalmano ka nahi Tha 
Jaisa ke Nabie Kareem Sallallahu Alaihiwasallam ki Hadees paak Shahid hai ke 
Hazrate abu Darda Raziallahu Taala Anhu ne se Rivaayat hai ke Nabie kareem Sallallahu Alaihiwasallam ne Irshaad Farmaya ke Allah ne Zameen par Haraam kardiya ke wo Anbiya ke jismo ko khaye Lehaza Allah ke Nabi Zinda hai aur Rizq Diye jaate" hain ( Rawao Ibne Maaja, Mishkaat page no,121)
Is Hadees e Paak ne To.Munafeqeen ke is Aqeede ki pool khol di ke Nabie Kareem Sallallahu Alaihiwasallam hi nahi Balke Sabhi Anbiya e kiraam Alaihisalaam Apni Qabro me Zinda Hai wo Mitti me nahi Mile Aur Nahi mare hai
Ab Mohaddeseen ka Aqeeda Bhi Dekhte hai 
Shaikh Abdul Haque Mohaddis Dahelvi Alaihirrahma is Hadees E- Paak ki Roo se F armate hai ke A llah ke N abi D unyavi Zindagi ki Haqeeqat ke S aath Z inda hai ( Ashatul Lamaat jild 1 page576)
Isi Tarah M ulla ALi Qari Alaihirrahma Farmate hai ke Anbiya kiraam ki D unyavi aur B aad wesaal ki Z indagi me koi Farq Nahi isi Liye kaha Jaata hai ke Anbiya wo Auliye kiraam Marte nahi Balke ek Daar se Dusre Daar Muntaqil Hote hai( Mirqaat jild 2 page no 212)
Phir Aage shaikh Abdul Haq Muhaddis Dahelvi Alahirrahma Farmate hai ke Ambiyae kiraam Zinda hai Aur inki Zindagi Sab.Mante hai kisi ko Isme Ikhtelaaf Nahi. Inki zindagi Jismani Haqeeqi Dunyaavi hai ( Ashatul Lamaat jild 1 page no 574)
Pata chala ke Nabi e kareem Sallallahu Alaihiwasallam se Lekar Aaj Tak ke Tamam Ahele Eiman ka Yahi Aqeeda Raha hai ke Allah ke Nabi Markar Mitti me Nahi Milte Balke Baad Wesaal Bhi Apni Qabr Me zinda Rahte hai 
1856 se Qabl Ismail Qateel ne jo Aqeeda Gadha wo Bilkul hi Batil hai Aur iske Manne wale kitna hi kahe ke Hum Allah wo Rasool ke pairo kaar hai, hum Buzurgaane Deen ko Manne wale hai khula Huwa jhoot hai
Note: - Musalmano aaj bhi waqt hai quraano ahadees ka ilm Hasil karo aur Tahqeeq ka jazba paida karo take Muanfeqeen kisi bhi SOorat me apke Samne Aaye to Aap apne Aqaid ki Hifazat kar sake 
Aur is duniyaa se eiman ke Saath rukhsat ho
join kijiye TAHREEK-E- ISLAHEAQAID 
aur Radd kijiye Islaam me Naye aqeeda paida karne wale munafiko ka
http://tahreek-e-islaheaqaid.blogspot.com/2017/07/taqviatul-eiman-ke-side-effects-silsila.html    احادیث میں بیان کردہ نشانیاں ایک نظر میں

..........................بہت عمدہ قرآن پڑھے گے

Comments

Popular posts from this blog

اہلسنت پر اعتراضات کے جوابات

Fareb Najdiya Risala E Suwem 3