TAQVIATUL EIMAAN KE SIDE EFFECTs(hindi)

TAFVIATUL EIMAN KE SIDE EFFECTs-1

TAFVIATUL EIMAN KE SIDE EFFECTs-2
SABIR ALI:
*Taqviatul eimaan ke side effects*
silsila no.15
1856 se qable taqreeban 1825 me ek kitaab manzare aam par aaye jiska naam TAQVIATUL EIMAN tha is kitaab ko ismail qateel munafik ne angrezo ke ishare par musalmano me inteshar barpa karne ke liye tarteeb diya tha
Is kitaab me un aqaid ko gadha gaya tha jis ki bina par rasoole aazam sallallahu alaihiwasallam ki tauheen aur apki zaate aqdas par musalmano ko soochne par majboor kardiya tha aashiqane rasool sallallahu alaihiwasallam is qasmakash me doob gaye ke nabi aur gaire nabi me kiya farq hai is kitaab ne to aam bashar yahan tak ke auliya, anbiya, jin ,bhoot ,pareet ko ek qataar me khada kardiya hai
Musalmano ki is bechaini ke beech ulmaye ahlesunnat ne qalam uthaya aur is batil aur gumarah aqaid ki kitaab ko aur iske tahreer karne wale molvi ismail qateel ka khula radd kiya aur ispar fatwaye kufr bhi sadir farmaya
Is kitaab ne musalmano me jin batil firqon ko janam diya unme wahabiyat aur deobandiya sare fehrist hai halanke dono ek hi hai lekin musalamno ko gumrah karne ke liye ek ne khud deobandi kahkar inke buzurgaane deen aur mohaddeseen ko apna kahna shru kardiya aur aam  musalmano ki kam ilmi ka fayeda uthaya lekin jab ahle ilm ne is firqaye batila deobandiyat par tahqeeq ko to pata chala ke inka aqeeda kisi bhi tarah buzurgaane deen se nahi milta ye log sirf musalamno ko gumrah karne keliye inhe apna batate hai
Baher kaif ab hum us ebarat ke mulaheza karege jisme ismail qateel ne likha ke nabi kareem sallallahu alaihiwasallam maaz allah markar mitti me milgaye hai
"Yaani main bhi ek din mar kar mitti me milne walahu"
(Taqviatul eiman page 88)
Is ebarat ne jo aqeeda zahir kiya wo kabhi bhi.musalmano ka nahi tha
Jaisa ke nabie kareem sallallahu alaihiwasallam ki hadees paak shahid hai ke
Hazrate abu darda raziallahu taala anhu ne se rivaayat hai ke nabie kareem sallallahu alaihiwasallam ne irshaad farmaya ke allah ne zameen par haraam kardiya ke wo anbiya ke jismo ko khaye lehaza allah ke nabi zinda hai aur rizq diye jaate hain ( rawao ibne maaja, mishkaat page no,121)
Is hadees e paak ne to.munafeqeen ke is aqeede ki pool khol di ke nabie kareem sallallahu alaihiwasallam hi nahi balke sabhi anbiya e kiraam alaihisalaam apni qabro me zinda hai wo mitti me nahi mile aur nahi mare hai
ab mohaddeseen ka aqeeda bhi dekhte hai
Shaikh abdul haque mohaddis dahelvi alaihirrahma is hadees paak ki roo se farmate hai ke allah ke nabi dunyavi zindagi ki haqeeqat ke saath zinda hai ( ashatul lamaat jild 1 page576)
Isi tarah mulla ali qari alaihirrahma farmate hai ke anbiya kiraam ki dunyavi aur baad wesaal ki zindagi me koi farq nahi isi liye kaha jaata hai ke anbiya wo auliye kiraam marte nahi balke ek daar se dusre daar muntaqil hote hai( mirqaat jild 2 page no 212)
Phir aage shaikh abdul haq muhaddis dahelvi alahirrahma farmate hai ke ambiyae kiraam zinda hai aur inki zindagi sab.mante hai kisi ko isme ikhtelaaf nahi. Inki zindagi jismani haqeeqi dunyaavi hai ( ashatul lamaat jild 1 page no 574)
Pata chala ke nabi e kareem sallallahu alaihiwasallam se lekar aaj tak ke tamam aheleeiman ka yahi aqeeda raha hai ke allah ke nabi markar mitti me nahi milte balke baad wesaal bhi apni qabr me zinda rahte hai
1856 se qabl ismail qateel ne jo aqeeda gadha wo bilkul hi batil hai aur iske manne wale kitna hi kahe ke hum allah wo rasool ke pairo kaar hai, hum buzurgaane deen ko manne wale hai khula huwa jhoot hai
note: - musalmano aaj bhi waqt hai quraano ahadees ka ilm hasil karo aur tahqeeq ka jazba paida karo take muanfeqeen kisi bhi soorat me apke samne aaye to aap apne aqaid ki hifazat kar sake
Aur is duniyaa se eiman ke saath rukhsat ho
join kijiye TAHREEK-E- ISLAHEAQAID
aur radd kijiye islaam me naye aqeede paida karne wale mufiko ka
https://tahreek-e-islaheaqaid.blogspot.in/?m=1

Join in whats app
9272606631
join telegraam chainel
https://telegram.me/ISLAHEAQAAID

Comments

Popular posts from this blog

یہ د رد کس کے لئے ہے؟

Bidatiyon Ke Propagende Part 4

اہلسنت پر اعتراضات کے جوابات